Tanha
Main aur meri tanhaii
aksar yeh baatein karte hain
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota
main yeh kehta
main woh sunta
main shabd ki samundar mein doob jaata
labzon ke akaash mein gum ho jaata
par yeh manzar to tha hii nahii
woh bhoola kya jo rasta hii nahii
jahaan tum nahii wahaan par to bas ek hastii
jaisee lamhon kii ek bastii
aur rehtii hai ek ruhaii
main aur merii tanhai
Main aur meri tanhaii
aksar yeh baatein karte hain
ee tabassum ki lau tu bujh jaa
kyuunki shama chal basii hai
aur sama dhal gaya hai
aur iss shool ke bikhre andhere mein
ek main hoon
adha adhoora aur akela
aahon mein sisakta
anjaan yuun sisakkta
jeewan ki anhoni talash mein
jeete uss andekhe palash mein
Bujhte hue suuraj ko dekh kar
ik jalte diye ki talash mein
jaane kahaan bhatakta
aur milti to bas ek hii harjaii
main aur merii tanhai
aksar yeh baatein karte hain
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota
main yeh kehta
main woh sunta
main shabd ki samundar mein doob jaata
labzon ke akaash mein gum ho jaata
par yeh manzar to tha hii nahii
woh bhoola kya jo rasta hii nahii
jahaan tum nahii wahaan par to bas ek hastii
jaisee lamhon kii ek bastii
aur rehtii hai ek ruhaii
main aur merii tanhai
Main aur meri tanhaii
aksar yeh baatein karte hain
ee tabassum ki lau tu bujh jaa
kyuunki shama chal basii hai
aur sama dhal gaya hai
aur iss shool ke bikhre andhere mein
ek main hoon
adha adhoora aur akela
aahon mein sisakta
anjaan yuun sisakkta
jeewan ki anhoni talash mein
jeete uss andekhe palash mein
Bujhte hue suuraj ko dekh kar
ik jalte diye ki talash mein
jaane kahaan bhatakta
aur milti to bas ek hii harjaii
main aur merii tanhai
